रविवार, 21 अगस्त 2011

ek hindi kavita


Hamko kyon tumne bhula diya
Dekhe hansi hontho pe
Phir kyon itna rula diya
Jin hatho ka tha sahara
Unhone hee duba diya
Hamko chhod majdhaar
Khud sahil pe gaya
Mere gum kee ye daasta
Sunta hai zameen ashmma
Ek na sune wahi
Jiske liye jita hoon yahana
Hamko mila ye kya sila
bhulyaa jinke liye sabko
Unhone hee hamko kyon bhula diya
Dard hai dil main
Ankho main anshoo mere
Din ke ujale main
ab bhee sapne dekhoon tere
Na hai ab koi manjil
Mile na kohi raste
Lagta hai jese ye jindgi
Mili hame Gum ke waste
Bhula esa kyon diya
Jee na paaye chahkar bhee
Hum to tumko bhula na paayenge
shayad ab to markar bhee

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें